Ahmad Faraz

Ahmad Faraz
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

To read poetry, click on the pictures please.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Poetry in Roman

Ay Khuda jo bhi mujhay pand-e-shakibie dey
os ki aankhoun ko meray zakham ki gahrie dey

teray logoun se gella hai meray aienoun ko
un ko pathar neigh deata hai to benaie dey

jis ki emma per kia tarkay taalaq mein ne
ab wohie shakas mujeh taanay tanhie dey

ye dahan zakham ki surat hai meray chahray per
ya meray zakham ko bhar ya mujeh goyaie dey

itna bay serfa na jay meray ghar ka jalna
chahsam-e-garyian na sahie chahsam-e-tamashie dey

kia khaber tujeh ko kis andaz ka bismal hai Faraz
woh to qatil ko bhi andaz-e-masehaie dey

***


sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do
mai.n kab kaa jaa chukaa huu.N sadaaye.n mujhe na do

jo zahar pii chukaa huu.N tumhii.n ne mujhe diyaa
ab tum to zindagii kii duaaye.n mujhe na do

aisaa kahii.n na ho ke palaTakar na aa sakuu.N
har baar duur jaa ke sadaaye.n mujhe na do

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab mai.n ne ye kahaa thaa sazaaye.n mujhe na do

***


Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete
bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete

vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaa.N to nahii.n hai
mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyuu.N nahii.n dete

ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.N hai
ai chaaraagaro dard ba.Dhaa kyuu.N nahii.n dete

munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujarim hai agar ham to sazaa kyuu.N nahii.n dete

rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaa.N bhii
rahabar ho to manzil kaa pataa kyuu.N nahii.n dete

kyaa biit ga_ii ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuu.N nahii.n dete

***


kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us sey
jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us sey

ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii
zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us sey

ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhii to us ke bahaane sunaa karo us sey

nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho
jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us sey

'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us sey

***


Janan dil ka shehar nagar afsoos ka hay
tera mera sarah safar afsoos ka hay

Kis chahat sey shehar-e-tammana manga tha
Ab hathoon mein sagar Afsoos ka hay

Ik dhehleez pe jaa kar dil khush hota tha
Ab toh shehar mein har ik dil afsoos ka hay

Hum ney Ishq Guna sey bhar kar jaana tha
Aur dil pe pehlaa pathar afsoos ka hay

Dekhoo ess chahat k pairh ki shakhoon par
Phool ous hassi ka hay Samar afsoos ka hay

Koi pachtawa sa pachtawa hay FARAZ
Dukh ka nehi afsoos magar afsoos ka hay

***


Sabb log liye sang-e-malamat nikal aaye
Kis sheher main hum ahl-e-mohabbat nikal aaye

Abb dil ki tamanna hai tou aye kash yehi ho
Ansoon ki jagah aankh se hasrat nikal aaye

Har ghar ka diya gull na karo tum keh na janay
Kis baam se khurshed-e-qayamat nikal aaye

Jo derpay pindaar hain unn qatal gahoon say
Jaan de kay bhi samjho keh salamat nikal aaye

Aye hum sukhanoon kuch tou kaho ehd-e-sitam ki
Ek hurf say mumkin hai hikayat nikal aaye

Yaaroon mujhay masloob karo tum keh merey baad
Shayad keh tumhara qad-o-qamat nikal aaye

***


havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa

pukaarate rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale
mai.n Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa

ab ehatiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho
jo chor dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa

mai.n chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii
ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa

sulagate sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah
ka.Daa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa

jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa

phaTii-phaTii hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa

magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa

***


Ajeeb rutt thi keh harchand paas tha woh bhi
Bohat malool tha main bhi,udaas tha woh bhi

Kisi kay sheher main ki guftugoon hawaon say
Yeh sooch kar keh kahin aas paas tha woh bhi

Hum apnay zoem main khush thay keh uss ko bhole chukay
magar gumaan tha yeh bhi qayas tha woh bhi

Kahan ka abb gham-e-dunya kahan ka ab gham-e-janan
Woh din bhi thay keh humain yeh bhi raas tha woh bhi

Faraz teray girebaan peh kal jo hansta tha
Ussay milay tou dareedah libaas tha woh bhi

***


Ankh se door na ho dil se uter jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga

itna manoos na ho khulot-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga

tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga

zindagi teray ata hai tu ye jaanay wala
teray bakshish teri dehleez pe dhar jaye ga

dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka faraaz
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga

***


kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii
zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se

ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se

***


khuwab martay nahin


khuwab dil hain naa aankhain naa sansain keh jo
raizaa raizaa hoye tou bikhar jain gay
jism ki maut say yeh bhi mar jain gay

khuwab martay nahin.........
khuwab tou roshni hain,nawaa hain,hawaa hain
jo kalay paharoon say........ ruktay nahin
zulm kay dozakhoon say bhi thaktay nahin

roshni aur nawaa aur hawaa kay alam
maqtaloon main pohanch kar bhi jhuktay nahin
khuwab tou............ hurf hain
khuwab tou............noor hain

khuwab........... Suqraat hain
khuwab.......... Mansoor hain

nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho
jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se